\startsong \stitle{naye kapa.De badal kar jaauu.N kahaa.N, aur baal banaauu.N kis ke liye} \singers{Nasir Kazmi} \printtitle #indian naye kapa.De badal kar jaauu.N kahaa.N, aur baal banaauu.N kis ke liye vo shaKs to shahar hii chho.D gayaa, ab Kaak u.Daauu.N kis ke liye jis dhuup kii dil ko Tha.nDak thii, vo dhuup usii ke saath ga_ii in jalatii bujhatii galiyo.n me.n ab Kaak u.Daauu.N kis ke liye vo shahar me.n thaa to us ke liye auro.n se milanaa pa.Dataa thaa ab aise-vaise logo.n ke mai.n naaz uThaauu.N kis ke liye ab shahar me.n is kaa baadal hii nahii.n, ko_ii viasaa jaan-e-Gazal hii nahii.n aivaan-e-Gazal me.n lafzo.n ke guladaan sajaauu.N kis ke liye muddat se ko_ii aayaa na gayaa sunasaan pa.Dii hai ghar kii fazaa in khaalii kamaro.n me.n ‘Nasir’ ab shammaa jalauu.N kis ke liye #endindian \endsong