\startsong \stitle{vo dil navaaz hai nazar shanaas nahii.n} \singers{Nasir Kazmi} \printtitle #indian vo dil navaaz hai nazar shanaas nahii.n meraa ilaaj mere chaaraagar ke paas nahii.n ta.Dap rahe hai.n zabaa.N par ka_ii savaal magar mere liye ko_ii shayaan-e-iltamaas nahii.n tere ujaalo.n me.n bhii dil kaa.Np kaa.Np uThataa hai mere mizaaj ko aasuudagii bhii raas nahii.N kabhii kabhii jo tere qurbme.n guzare the ab undino.n kaa tasavvur bhii mere paas nahii.n guzar rahe hai.n ajab marhalo.n se diidaa-o-dil sahar kii aas to hai, zi.ndagii kii aas nahii.n mujhe ye Dar hai ki terii aarazuu na miT jaaye bahut dino.n se tabiyat merii udaas nahii.n #endindian \endsong