\startsong \stitle{kisii kalii ne bhii dekhaa na aa.Nkh bhar ke mujhe} \singers{Nasir Kazmi} \printtitle #indian kisii kalii ne bhii dekhaa na aa.Nkh bhar ke mujhe guzar ga_ii jaras-e-gul udaas kar ke mujhe mai.n so rahaa thaa kisii yaad ke shabistaa.N me.n jagaa ke chho.D gaye qaafile sahar ke mujhe mai.n ro rahaa thaa muqaddar kii saKt raaho.n me.n u.Daa ke le gayaa jaaduu terii nazar kaa mujhe mai.n terii dard kii tuGiyaaniyo.n me.n Duub gayaa pukaarate rahe taare ubhar ubhar ke mujhe tere firaaq kii raate.n kabhii na bhuule.ngii mazaa mile i.nhii.n raato.n me.n umr bhar ke mujhe zaraa sii der Thaharane de ai Gam-e-duniyaa bulaa rahaa hai ko_ii baam se utar ke mujhe phir aaj aa_ii thii ik mauj-e-havaa-e-tarab sunaa ga_ii hai fasaane idhar-udhar ke mujhe #endindian \endsong