\startsong \stitle{kaash Khvaabo.n hii me.n aa jaao bahut tanahaa huu.N} \singers{Nyay Sharma #1} \printtitle #indian kaash Kvaabo.n hii me.n aa jaao bahut tanahaa huu.N yaa mere zahan se yaado.n ke diye gul kar do mere ehasaas kii duniyaa ko miTaa do ham-dam raat taare nahii.n a.ngaare liye aatii hai in barasate huye sholo.n ko bujhaa do ham-dam dil kii dha.Dakan ko sulaa jaao bahut tanahaa huu.N a.Ndherii raat me.n jab chaa.Nd khilane lagataa hai tumhaare pyaar ke diipak jalaake rotaa huu.N tumhaare aane kii jab aas jaane lagatii hai mai.n in chiraaGo.n ko Kud hii bujhaa ke rotaa huu.N zi.ndagii aisii miTaa jao bahut tanahaa huu.N sochate sochate jab soch bhii mar jaatii hai vaqt ke qadamo.n kii aahaT ko sunaa karataa huu.N ashk thamate hai.n to aaho.n kaa dhuaa.N uThataa hai raat bhar yuu.N hii ta.Dapataa huu.N jalaa karataa huu.N baar-e-Gam kuchh to ghaTaa jaao bahut tanahaa huu.N #endindian \endsong