\startsong \stitle{wo to Khushbuu hai, hawaao.n me.n bikhar jaaegaa} \lyrics{Parveen Shakir} \singers{Parveen Shakir} % Contributed By: Umang Bali \printtitle #indian wo to Kushbuu hai, hawaao.n me.n bikhar jaaegaa masalaa phuul ka hai, phuul kidhar jaaegaa ham to samjhe the ke ek zaKm hai, bhar jaaegaa kyaa Kabar thii ke rag-e-jaa.N me.n utar jaaegaa wo hawaao.n kii tarah Kaanaa-bajaa.N phirataa hai ek jho.nkaa hai jo aaegaa, guzar jaaegaa wo jab aaegaa to phir us kii rafaaqat ke liye mausam-e-gul mere aa.Ngan me.n Thahar jaaegaa aaKirash wo bhii kahii.n ret pe baiThii hogii teraa ye pyaar bhii dariyaa hai utar jaaegaa #endindian \endsong