\startsong \stitle{kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamauu.Ngii} \lyrics{Parveen Shakir} \singers{Parveen Shakir} % Additions by Zulqarnain Khan \printtitle #indian kamaal-e-zabt ko Kud bhii to aazamauu.Ngii mai.n apane haath se us kii dulhan sajauu.Ngii sapurd kar ke use chaa.Ndanii ke haatho.n mai.n apane ghar ke a.Ndhero.n ko lauT aauu.Ngii badan ke karb ko wo bhii samajh na paayegaa mai.n dil me.n rouu.Ngii, aa.Nkho.n me.n muskuraauu.Ngii wo kyaa gayaa ke rafaaqat ke saare lutf gae mai.n kis se ruuTh sakuu.Ngii, kise manaauu.Ngii wo ik rishtaa-e-benaam bhii nahii.n lekin mai.n ab bhii us ke ishaaro.n pe sar jhukaauu.Ngii bichhaa diyaa thaa gulaabo.n ke saath apanaa wajuud wo so ke uThe to Kwaabo.n kii raakh uThaauu.Ngii ab us kaa fan to kisii aur se mansuub huaa mai.n kis kii nazm akele me.n gunagunaauu.Ngii %[mansoob=attached] javaz Dhuu.NDh rahaa thaa naii mohabbat kaa wo kah rahaa thaa ke mai.n us ko bhuul jauu.Ngii %[javaz = reason] #endindian \endsong