\startsong \stitle{terii Khushbuu kaa pataa karatii hai} \lyrics{Parveen Shakir} \singers{Parveen Shakir} % Contributed by: Umang Bali \printtitle #indian terii Kushbuu kaa pataa karatii hai mujh pe ehasaan hawaa karatii hai shab kii tanhaaii me.n ab to aksar guftaguu tujh se rahaa karatii hai dil ko us raah pe chalanaa hii nahii.n jo mujhe tujh se judaa karatii hai zi.ndagii merii thii lekin ab to tere kahane me.n rahaa karatii hai us ne dekhaa hii nahii.n warnaa ye aa.Nkh dil kaa ehawaal kahaa karatii hai be-niyaaz-e-kaaf-e-dariyaa a.ngusht ret par naam likhaa karatii hai shaam pa.Date hii kisii shaKs kii yaad kuuchaa-e-jaa.N me.n sadaa karatii hai mujh se bhii us kaa hai waisaa hii suluuk haal jo teraa ana??? karatii hai dukh huaa karataa hai kuchh aur bayaa.N baat kuchh aur huaa karatii hai abr barase to inaayat us kii shaaK to sirf duaa karatii hai masalaa jab bhii uThaa chiraago.n kaa faisalaa sirf hawaa karatii hai #endindian \endsong