\startsong \stitle{kuchh to havaa bhii sard thii kuchh thaa teraa Khayaal bhii} \singers{Parveen Shakir #17} \printtitle #indian kuchh to havaa bhii sard thii kuchh thaa teraa Kayaal bhii dil ko Kushii ke saath saath hotaa rahaa malaal bhii baat vo aadhii raat kii, raat vo puure chaa.Nd kii chaa.Nd bhii ain chait kaa, u pe teraa jamaal bhii sab se nazar bachaa ke vo mujhako kuchh aise dekhate ek dafaa to ruk ga_ii gardish-e-maah-o-saal bhii dil to chamak sakegaa kyaa phir bhii taraash ke dekh lo shiishaagaraane shahar ke haath kaa ye kamaal bhii us ko na paa sake the jab dil kaa ajiib haal thaa ab jo palaT ke dekhiye baat thii kuchh muhaal bhii merii talab thaa ek shaKs vo jo nahii.n milaa to phir haath duaa se yuu.N giraa bhuul gayaa savaal bhii shaam kii naasamajh havaa puuchh rahii hai ik pataa mauj-e-havaa-e-kuu-e-yaar kuchh to meraa Kayaal bhii #endindian \endsong