\startsong \stitle{kabhii to khul ke baras abr-e-maharabaa.N kii tarah} \singers{Prem Warbartoni #2} % Additions by Fayaz Razvi \printtitle #indian kabhii to khul ke baras abr-e-maharabaa.N kii tarah meraa vajuud hai jalate hue makaa.N kii tarah bharii bahaar kaa siinaa hai zaKm zaKm magar sabaa ne gaaye hai.n lorii shafiiq man kii tarah vo kaun thaa jo barahanaa badan chaTTaano.n se lipaT gayaa thaa kabhii bahr-e-bekaraa.N kii tarah sakuut-e-dil to jaziiraa hai barf kaa lekin teraa Kuluus hai suuraj ke saayebaa.N kii tarah mai.n ik Kvaab sahii aap kii amaanat huu.N mujhe sambhaal ke rakhiyegaa jism-o-jaa.N kii tarah kabhii to soch ke vo shaKs kis qadar thaa bula.nd jo bichh gayaa tere qadmo.n me.n aasmaa.N kii tarah bulaa rahaa hai mujhe phir kisii badan kaa basa.nt guzar na jaae ye rut bhii kahii.n Kizaa.N kii tarah lahuu hai nisf sadii kaa jis ke aabagiine me.n na dekh "Prem" use chashm-e-arGavaa.N kii tarah #endindian \endsong