\startsong \stitle{tumhaare shahar kaa mausam ba.Daa suhaanaa lage} \lyrics{Qaiser ul Jafri} \singers{Qaiser ul Jafri #1} % Contributed by Fayaz Razvi \printtitle #indian tumhaare shahar kaa mausam ba.Daa suhaanaa lage mai.n ek shaam churaa luu.N agar buraa na lage tumhaare bas me.n agar ho to bhuul jaao hame.n tumhe.n bhuulane me.n shaayad mujhe zamaanaa lage hamaare pyaar se jalane lagii hai ye duniyaa duaa karo kisii dushman ki bad-duaa na lage na jaane kyaa hai us kii bebaak aa.Nkho.n me.n vo muu.Nh chhupaa ke jaaye bhii to bevafaa lage jo Duubanaa hai to itane sukuun se Duubo ke aas paas kii laharo.n ko bhii pataa na lage ho jis adaa se mere saath bevafaa_ii kar ke tere baad mujhe ko_ii bevafaa na lage vo phuul jo mere daaman se ho gay ma.nsuub Kudaa kare u.nhe.n baazaar kii havaa na lage tum aa.Nkh muu.ndh ke pii jaao zi.ndagii 'Qaiser' ke ek ghuu.NT me.n shaayad ye badamazaa na lage #endindian \endsong