\startsong \stitle{bedilii se ha.Nsane ko Khush-dilii na samajhaa jaae} \lyrics{Pir Zada Qasim} \singers{Pir Zada Qasim} % Contributed by Fayaz Razvi \printtitle #indian bedilii se ha.Nsane ko Kush-dilii na samajhaa jaae Gam se jalate chehare ko raushanii na samajhaa jaae gaha gaha vahashat me.n ghar kii simt jaataa huu.N isako dasht-e-hairat se vaapasii na samajhaa jaae laakh Kush_gumaa.N duniyaa baahimii ta'alluq ko dostii kahe.n lekin dostii na samajhaa jaae ham to bas ye kahate hai.n roz jiine marane ko aap chaahe.n kuchh samajhe.n zi.ndagii na samajhaa jaae Kaak karane vaalo.n kii kyaa ajiib Kvaahish thii Kaak hone vaalo.n ko Kaak hii na samajhaa jaae #endindian \endsong