\startsong \stitle{Umiid - vo subah kabhii to aaegii} \lyrics{Sahir Ludhianvi} \singers{Sahir Ludhianvi} \printtitle #indian vo subah kabhii to aaegii in kaalii sadiyo.n ke sar se jab raat kaa aa.Nchal dhalakegaa jab dukh ke baadal pighale.nge jab sukh kaa saagar jhalakegaa jab ambar jhuum ke naachegaa jab dharatii naGme gaaegii vo subah kabhii to aaegii jis subah kii Kaatir jug jug se ham sab mar mar ke jiite hai.n jis subah ke amrit kii dhun me.n ham zahar ke pyaale piite hai.n in bhuukii pyaasii ruuho.n par ik din to karam faramaaegii vo subah kabhii to aaegii maanaa ke abhii tere mere aramaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.n miTTii kaa bhii hai kuchh mol magar insaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.n insaano.n kii izzat jab jhuuThe sikko.n me.n na tolii jaaegii vo subah kabhii to aaegii daulat ke liye jab aurat kii ismat ko naa bechaa jaaegaa chaahat ko naa kuchalaa jaaegaa, izzat ko naa bechaa jaaegaa apanii kaalii karatuuto.n par jab ye duniyaa sharmaaegii vo subah kabhii to aaegii biite.nge kabhii to din aaKir ye bhuuk ke aur bekaarii ke TuuTe.nge kabhii to but aaKir daulat kii ijaaraadaarii ke jab ek anokhii duniyaa kii buniyaad uThaaii jaaegii vo subah kabhii to aaegii majabuur bu.Daapaa jab suunii raaho.n kii dhuul na pha.Nkegaa maasuum la.Dakapan jab ga.ndii galiyo.n me.n bhiik na maa.Ngegaa haq maa.Ngane waalo.n ko jis din sulii na dikhaaii jaaegii vo subah kabhii to aaegii faaaqo.n kii chitaao.n par jis din insaa.N na jalaae jaae.nge siine ke dahakate dozakh me.n aramaa.N na jalaae jaae.nge ye narak se bhii ga.ndii duniyaa, jab swarg banaaii jaaegii vo subah kabhii to aaegii jis subah kii Kaatir jug jug se ham sab mar mar ke jiite hai.n jis subah ke amrit kii dhun me.n ham zahar ke pyaale piite hai.n vo subah na aaye aaj magar, vo subah kabhii to aayegii vo subah kabhii to aaegii #endindian \endsong