\startsong \stitle{aadam kaa jism jab ke anaasar se mil banaa} \lyrics{Mohammed Rafi Sauda} \singers{Mohammed Rafi Sauda} % Contributed by Gopi Shanker "Shareek Sikandarabadi" \printtitle #indian aadam kaa jism jab ke anaasar se mil banaa kuchh aag bach rahii thii so aashiq kaa dil banaa %[anaasar = the five elements] sar_garm-e-naalaa aaj kal mai.n bhii huu.N andliib mat aashiyaa.N chaman me.n mere muttasil banaa jab teshaa kohakaan ne liyaa haath tab ye ishq bolaa ke apanii chhaatii pe rakhane ko sil banaa jis tiiragii se roz hai ushaaq kaa siyaah shaayad usii se cheharaa-e-Kubaa.N pe til banaa %[ushaaq = plural of aashiq; siyaah = dark, black] lab zi.ndagii me.n kab mile us lab se ai! kalaal saaGar hamaarii Kaak ko mat kar ke gil banaa apanaa hunar dikhaa de.nge ham tujh ko shiishaagar tuuTaa hua kisii ka agar hamase dil banaa sun sun ke arz-e-haal meraa yaar ne kahaa "Sauda" na baate.n baiTh ke yaa.N muttasil banaa #endindian \endsong