\startsong \stitle{chaa.Ndanii raat me.n chaa.Nd ke saamane} \singers{Shevan Bijnauri #1} \printtitle #indian chaa.Ndanii raat me.n chaa.Nd ke saamane ruK se pardaa haTaanaa Gazab ho gayaa chaa.Ndanii chhup ga_ii chaa.Nd sharmaa gayaa aap kaa muskuraanaa Gazab ho gayaa %[ruK = face] dil kii dha.Dakan merii tez hone lagii raat aa.Nkho.n me.n kaaNTe.n chubhone lagii vasl kii raat me.n baat hii baat me.n yuu.N teraa ruuTh jaanaa Gazab ho gayaa %[vasl = meeting/union] jhuum kar kaalii kaalii ghaTaa jab uThii raat apanii to karavaT badalate kaTii kuchh to mausam ne bechain rakkhaa hame.n kuchh teraa yaad aanaa Gazab ho gayaa apane hisse me.n tuufaa.N kii taqadiir thii zindagii apanii maujo.n kii zanjiir thii Duub jaane kaa apane hame.n Gam na thaa us kaa saahil pe aanaa Gazab ho gayaa %[saahil = shore] #endindian \endsong