\startsong \stitle{ek brahmaNn ne kahaa hai ke ye saal achchhaa hai} \singers{Sabir Dutt} \printtitle #indian ek brahmaNn ne kahaa hai ke ye saal achchhaa hai zulm kii raat bahut jald Talegii ab to aag chuulho.n me.n har ik roz jalegii ab to bhuuk ke maare ko_ii bachchaa nahii.n royegaa chain kii nii.nd har ik shaKs yahaa.N soyegaa aa.Ndhii nafarat kii chalegii na kahii.n ab ke baras pyaar kii fasal ugaa_egii zamii.n ab ke baras hai yahii.n ab na ko_ii shor-sharaabaa hogaa zulm hogaa na kahii.n Kuun-kharaabaa hogaa os aur dhuup ke sadame.n na sahegaa ko_ii ab mere desh me.n beghar na rahegaa ko_ii naye vaado.n kaa jo Daalaa hai vo jaal achchhaa hai rahanumaao.n ne kahaa hai ke ye saal achchhaa hai dil ke Kush rakhane ko Ghalib ye Kayaal achchhaa hai #endindian \endsong