\startsong \stitle{murjhaa ke kaalii jhiil me.n girate huye bhii dekh} \singers{Shakeb Jalali #2} \printtitle #indian murjhaa ke kaalii jhiil me.n girate huye bhii dekh suuraj huu.N meraa ra.ng magar din Dhale bhii dekh kaaGaz kii katarane ko bhii kahate hai.n log phuul ra.ngo.n kaa aitabaar hii kyaa suu.Ngh ke bhii dekh har cha.nd raakh hoke bikharanaa hai raah me.n jalate huye paro.n se u.Daa huu.N mujhe bhii dekh tuune kahaa na thaa ki mai.n kashtii pe bojh huu.N aa.Nkho.n ko ab na Dhaa.Np mujhe Duubate bhii dekh tuu hii barahanaa-paa nahii.n is jalatii ret par talavo.n me.n jo havaa ke hai.n vo aabale bhii dekh %[barahanaa-paa = naked feet; aabale = blisters] i.nsaan naachataa hai yahaa.N putaliyo.n ke ra.ng duniyaa me.n aa gayaa hai to is ke maze bhii dekh bichhatii thii.n jis kii raah me.n phuulo.n kii chaadare.n ab us kii Kaak ghaas ke pairo.n tale bhii dekh kyaa shaaK-e-baa-samar hai jo takataa hai farsh ko nazare.n uThaa "Shakeb" kabhii saamane bhi dekh %[shaaK-e-baa-samar = fruit laden branch] #endindian \endsong