\startsong \stitle{Gam-e-aashiqii se kah do raah-e-aam tak na pahu.Nche} \singers{Shakeel Badayuni} % Contributed by Saleem A Khanani % Additions by Abhay Phadnis \printtitle #indian Gam-e-aashiqii se kah do raah-e-aam tak na pahu.Nche mujhe Kauf hai ye tohamat mere naam tak na pahu.Nche mai.n nazar se pee rahaa thaa to ye dil ne bad-duaa dii teraa haath zi.ndagii bhar kabhii jaam tak na pahu.Nche naii subah par nazar hai magar aah ye bhii Dar hai ye sahar bhii raftaa raftaa kahii.n shaam tak na pahu.Nche vo navaa-e-muzamahil kyaa na ho jis me.n dil kii dha.Dakan vo sadaa-e-ahale-dil kyaa jo avaam tak na pahu.Nche u.nhe.n apane dil kii Kabare.n mere dil se mil rahii hai.n mai.n jo unase ruuTh jaauu.N to payaam tak na pahu.Nche ye adaa-e-beniaazii tujhe bevafaa mubaarak magar aisii beruKii kyaa ke salaam tak na pahu.Nche jo naqaab-e-ruK uThaa dii to ye qaid bhii lagaa dii uThe har nigaah lekin koii baam tak na pahu.Nche vahii ik Kamosh naGmaa hai "Shakeel" jaan-e-hastii jo zubaa.N tak na aae jo qalaam tak na pahu.Nche #endindian \endsong