\startsong \stitle{bas ik nigaah-e-karam hai kaafii agar u.nhe.n pesh-o-pas nahii.n hai} \singers{Shakeel Badayuni #13} % Contributed by Mujahid Jafri \printtitle #indian bas ik nigaah-e-karam hai kaafii agar u.nhe.n pesh-o-pas nahii.n hai zaahe tamannaa kii merii fitarat asiir-e-hirs-o-havas nahii.n hai nazar se sayyaad duur ho jaa yahaa.N teraa mujh pe bas nahii.n hai chaman ko barbaad karanevaale ye aashiyaa.N hai qafas nahii.n hai kisii ke jalve ta.Dap rahe hai.n huduud-e-hosh-o-Kirad ke aage huduud-e-hosh-o-Kirad ke aage nigaah ke dastaras nahii.n hai jahaa.N kii nayara.ngiiyo.n se yaksar badal ga_ii aashiyaa.N kii suurat qafas samajhatii hai.n jin ko nazare.n vo dar-haqiiqat qafas nahii.n hai kahaa.N ke naale kahaa.N kii aahe.n jamii hai.n un kii taraf nigaahe.n kuchh is qadar mahv-e-yaad huu.N mai.n ki fursat-e-yak-nafas nahii.n hai tasavvur-e-ishrat-e-guzishtaa kaa husn-e-taasiir allaah allaah vahii fazaaye.N vahii havaaye.N chaman se kuchh kam qafas nahii.n hai kisii ke be'etanaa_iyo.n ne badal hii Daalaa nizaam-e-gulashan jo baat pahale bahaar me.n thii vo baat ab ke baras nahii.n hai ye buu-e-sumbul, ye Kaa.ndaa gul aur aah! ye dard bharii sadaaye.N qafas ke a.ndar chaman ho shaayad chaman ke a.ndar qafas nahii.n hai na hosh-e-Kilvat na fikr-e-mahafil ayaa.N ho ab kis pe haalaat-e-dil mai.n aap hii apanaa ham-nafas huu.N meraa ko_ii ham-nafas nahii.n hai kare.n bhii kyaa shikavaa-e-zamaanaa kahe.n bhii kyaa dard kaa fasaanaa jahaa.N me.n hai.n laakh dushman-e-jaa.N ko_ii masiihaa nafas nahii.n hai sunii hai ahal-e-junuu.N ne aksar Kaamoshii-e-marg kii sadaaye.N sunaa ye thaa kaaravaan-e-hastii rahiin-e-baa.ng-e-jaras nahii.n hai chaman kii aazaadiyaa.N muaKKar tasavvur-e-aashiyaa.N muqaddam Gam-e-asiiriihai naa-mukammal agar Gam-e-Kaar-o-Kas nahii.n hai na kar mujhe sharmsaar naaseh mai.n dil se majabuur huu.N ki jis kaa hai yuu.N to kaun-o-makaa.N pe qaabuu magar muhabbat pe bas nahii.n hai kahaa.N vo ummiid aamad aamad kahaa.N ye iifaa_e ahad-e-fardaa jab aitabaar-e-nazar na thaa kuchh ab aitabaar-e-nafas nahii.n hai vahii.n hai.n naGme.n vahii hai naale sun ai mujhe bhuul jaane vaale terii sama'at se duur huu.N mai.n jabhii to naalo.n me.n ras nahii.n hai "Shakeel" duniyaa me.n jis ko dekhaa kuchh us kii duniyaa hii aur dekhii hazaar naqqaad-e-zi.ndagii hai.n magar ko_ii nuktaaras nahii.n hai #endindian \endsong