\startsong \stitle{ai ishq na chhe.D aa aa ke hame.n} \singers{Akhtar Sheerani #11} \printtitle #indian ai ishq na chhe.D aa aa ke hame.n ham bhuule huo.n ko yaad na kar pahale hii bahut naashad hai.n ham tuu aur hame.n naashaad na kar qismat kaa sitam hii kam nahii.n kuchh ye taazaa sitam ijaad na kar yuu.N zulm na kar bedaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar jis din se mile hai.n dono.n kaa sab chain gayaa aaraam gayaa cheharo.n se bahaar-e-subah ga_ii aa.Nkho.n se faroG-e-shaam gayaa haatho.n se Kushii kaa jaam chhuuTaa ho.nTho.n se ha.Nsii kaa naam gayaa GamGii.n na banaa naashaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar raato.n ko uTh uTh rote hai.n ro ro kar duaaye.n karate hai.n aa.Nkho.n me.n tasavvur dil me.n Kalish sar dhunate hai.n aahe.n bharate hai.n ai ishq ye kaisaa rog lagaa jiite hai.n na zaalim marate hai.n ye zulm to ai jallaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar ye rog lagaa hai jab se hame.n ranjiidaa huu.N mai.n biimaar hai vo har vaqt tapish har vaqt Kalish be-Kvaab huu.N mai.n bedaar ha vo jiine se idhar bezaar huu.N mai.n maranbe pe udhar tayyaar hai vo aur zabt kahe fariyaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar bedard zaraa insaaf to kar is umr me.n aur maGmuum hai vo phuulo.n kii tarah naazuk hai abhii taaro.n kii tarah masuum hai vo ye husn sitam ye ranj Gazab majabuur huu.N mai.n mazaluum hai vo mazaluum pe yuu.N bedaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar ai ishq Kudaaraa dekh kahii.n vo shoK hasii.n badanaam na ho vo maah-e-laqaa badanaam na ho vo zohraa-jabii.n badanaam na ho naamuus kaa us ko paas rahe vo pardaa-nashii.n badanaam na ho us pardaa-nashii.n ko yaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar ummiid kii jhuuThii jannat ke rah rah ke na dikhalaa Kvaab hame.n aa_iindaa ke farzii ishrat ke vaade se na kar betaab hame.n kahataa hai zamaanaa jis ko Kushii aatii hai nazar kaamayaab hame.n chho.D aisii Kushii ko yaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar do din hii me.n ahad-e-tifalii ke maasuum zamaane bhuul gaye aa.Nkho.n se vo Kushiyaa.N miT sii ga_ii.n lab ke vo taraane bhuul gaye un paak bahishtii Kvaabo.n ke dilchasp fasaane bhuul gaye un Kvaabo.n se yuu.N aazaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar aa.Nkho.n ko ye kyaa aazaar huaa har jazb-e-nihaa.N par ro denaa aahang-e-tarab pe jhuk jaanaa aavaaz-e-fuGaa.N par ro denaa barbat kii sadaa par ro denaa mutrib ke bayaa.N par ro denaa ehasaas ko Gam buniyaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar jii chaahataa hai ik duusare ko yuu.N aaTh pahar ham kare.n aa.Nkho.n me.n basaaye.n Kvaabo.n ko aur dil ko Kayaal aabaad kare.n Kilvat me.n bhii jo jalvat kaa saamaa.N vahadat ko du_ii se shaad kare.n ye aarazuue.n ijaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar vo raaz hai ye Gam aah jise paa jaaye ko_ii to Kair nahii.n aa.Nkho.n se jab aa.Nsuu bahate hai.n aa jaaye ko_ii to Kair nahii.n zaalim hai ye duniyaa dil ko yahaa.N bhaa jaaye ko_ii Kair nahii.n hai zulm magar fariyaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar duniyaa kaa tamaashaa dekh liyaa GamGii.n sii hai betaab sii hai ummiid yahaa.N ik vaham sii hai taskiin yahaa.N ik Kvaab sii hai duniyaa me.n Kushii kaa naam nahii.n duniyaa me.n Kushii nayaab sii hai duniyaa me.n Kushii ko yaad na kar ai ishq hame.n barbaad na kar #endindian \endsong