\startsong \stitle{ek muddat hu_ii ek zamaanaa huaa} \singers{Sagar Siddiqui #4} % Contributed by Sudhanshu Ambiye \printtitle #indian ek muddat hu_ii ek zamaanaa huaa Kaak-e-gulashan me.n jab aashiyaanaa huaa zulf-e-baraham kii jab se shanaasaa_ii hu_ii zi.ndagii kaa chalan mujremaanaa huaa phuul jalate rahe chaa.Nd ha.Nsate rahaa aarazuu kaa muqammal fasaanaa huaa daaG dil ke shaha.nshaah ke sikke bane dil kaa muflis-kadaa jab Kazaanaa huaa rahabar ne palaT kar na dekhaa kabhii rahr-o-raaste kaa nishaanaa huaa ham jahaa.N bhii gaye zauq-e-sajadaa liye har jagah aap kaa aasataanaa huaa dekh mizaraab se Kuun Tapakane lagaa saaz kaa taar marG-e-taraanaa huaa pahale hotii thii ko_ii vafaa-paravarii ab to "SaaGar" ye qissaa puuraanaa huaa #endindian \endsong