\startsong \stitle{aaj kisii ne baato.n baato.n me.n, jab un kaa naam liyaa} \singers{Ghulam Rabbani Taabaa} \printtitle #indian aaj kisii ne baato.n baato.n me.n, jab un kaa naam liyaa dil ne jaise Thokar khaa_ii, dard ne ba.Dakar thaam liyaa ghar se daaman jha.D ke nikale, vahashat kaa saamaan na puuchh yaanii gard-e-raah se hamane, raKt-e-safar kaa kaam liyaa %[vahashat = fear/anxiety; gard-e-raah = dirt of the street; raKt-e-safar = things needed on a journey] diivaaro.n ke saaye-saaye, umr bitaa_ii diivaane muft me.n tanaasaani-e-Gam kaa apane par ilzaam liyaa %[tanaasaani-e-Gam = to carry the burden of sorrow] raah-e-talab me.n chalate chalate, thank ke jab ham chuur huye zulf kii Tha.nDii chaa.Nv me.n baiThe, pal do pal aaraam liyaa %[raah-e-talab = path of desire/want] ho.nTh jale.n yaa siinaa sulage, ko_ii taras kab khaataa hai jaam usii kaa jisane 'TabaaN', jur'at se kuchh kaam liyaa %[jur'at = boldness] #endindian \endsong