\startsong \stitle{ye kyaa ke ek jahaa.N ko karo vaqaf iztaraab} \singers{Sufi Ghulam Mustafa Tabassum #2} % Contributed by Ishani Gupta \printtitle #indian ye kyaa ke ek jahaa.N ko karo vaqaf iztaraab ye kyaa ke ek dil ko shatiibaa na kar sako aisaa na ho ye dard bane dard laazaval aisaa na ho ke tum bhii maadaavaa na kar sako shaayad tumhe.n bhii chain na aae mere baGair shaayad ye baat tum bhii gavaaraa na kar sako kyaa jaane phir sitam bhii mayassar ho na ho kyaa jaane ye karam bhii karo yaa na kar sako allaah kare jahaa.N ko merii yaad bhuul jaae allaah kare ke tum kabhii aisaa na kar sako mere sivaa kisii kii na ho tum ko justajuu mere sivaa kisii kii tamannaa na kar sako #endindian \endsong