\startsong \stitle{safar me.n raah ke aashob se na Dar jaanaa} \lyrics{Alam Tab 'Tashna'} \singers{Alam Tab Tashna} \printtitle #indian safar me.n raah ke aashob se na Dar jaanaa pa.De jo aag kaa dariyaa to paar kar jaanaa %[aashob = turmoil] ye ik ishaaraa hai aafaat-e-naagahaanii kaa kisii jagah se pari.ndo.n kaa kuuch kar jaanaa %[aafaat-e-naagahaanii = unexpected problem] ye intaqaam hai dasht-e-balaa se baadal kaa samu.ndaro.n pe barasate hue guzar jaanaa tumhaaraa qurb bhii duurii kaa istiaaraa hai ki jaise chaa.Nd kaa taalaab me.n utar aanaa merii yaqii.n ko ba.Daa badagumaan kar ke gayaa duaa-e-niim_shab teraa be-asar jaanaa %[duaa-e-niim_shab = midnight prayer] ajab hai.n rasm-e-gah-e-zi.ndagii ki ye a.ndaaz usii ne vaar kiyaa jisane besipar jaanaa %[besipar = without a shield] hamaare dam se hii aavaargii-e-shab thii hame.n ajiib lage ab shaam hii se ghar jaanaa #endindian \endsong