\startsong \stitle{nazar nazar se milaakar sharaab piite hai.n} \singers{Tasneem Farooqui} \printtitle #indian nazar nazar se milaakar sharaab piite hai.n ham unako paas biThaakar sharaab piite hai.n isii liye to a.Ndheraa hai maikade me.n bahut yahaa.N gharo.n ko jalaakar sharaab piite hai.n hame.n tumhaare sivaa kuchh nazar nahii.n aataa tumhe.n nazar me.n sajaakar sharaab piite hai.n u.nhii.n ke hisse me.n aatii hai pyaas hii aksar jo duusaro.n ko pilaakar sharaab piite hai.n #endindian \endsong