\startsong \stitle{rah-e-aashiqii ke maare rah-e-aam tak na pahu.Nche} \singers{Yahya Jasdanwalla} \printtitle #indian rah-e-aashiqii ke maare rah-e-aam tak na pahu.Nche kabhii sub_h tak na pahu.Nche, kabhii shaam tak na pahu.Nche mujhe mast agar banaa de ye nigaah-e-mast terii mera haath kyaa nazar bhii kabhii jaam tak na pahu.Nche mujhe apanii bekasii kaa nahii.n Gam Kayaal ye hai kahii.n baat ba.Date ba.Date tere naam tak na pahu.Nche jo ye daur bevafaa hai tera Gam to mustaqil ho vo hayaat-e-aashiqii kyaa jo davaam tak na pahu.Nche %[mustaqil = permanent; dawaam = infinity] ye anokhii barahamii hai ke na bhuule se labo.n par basabiil-e-tazakiraa bhii mere naam tak na pahu.Nche %[barahamii = injustice; basabiil-e-tazakiraa = in the course of discussion] kahii.n is tarah bhii ruuThe na kisii se koii 'yahya' ke payaam tak na aae ke salaam tak na pahu.Nche #endindian \endsong