\startsong \stitle{hamane duniyaa me.n aake kyaa dekhaa} \singers{Bahadur Shah Zafar} \printtitle #indian hamane duniyaa me.n aake kyaa dekhaa dekhaa jo kuchh, so Kvaab-saa dekhaa hai to i.nsaan Kaak kaa putalaa lek paanii kaa bul-bulaa dekhaa %[lek (a short form of lekin) = but] Kuub dekhaa jahaa.N ke Kuubaa.N ko ek tujhasaa na duusaraa dekhaa %[Kuubaa.N = beauties (beautiful ladies)] ek dam par havaa na baa.Ndh habaab dam ko dam bhar me.n yaa.N havaa dekhaa %[habaab = bubble] na huye terii Kaak-e-paa, hamane Kaak me.n aap ko milaa dekhaa %[Kaak-e-paa = dust of the feet (paao.n kii dhuul)] %[aap = self (in the context used here)] ab na diije "zafar" kisii ko dil ki jise dekhaa, bevafaa dekhaa #endindian \endsong