\startsong \stitle{ab to ghabaraa ke ye kahate hai.n ke mar jaae.nge} \singers{Zauq #2} \printtitle #indian ab to ghabaraa ke ye kahate hai.n ke mar jaaye.nge mar ke bhii chain na paayaa to kidhar jaaye.nge tum ne Thaharaa_ii agar Gair ke ghar jaane kii to iraade yahaa.N kuchh aur Thahar jaaye.nge ham nahii.n vo jo kare.n Kuun kaa daavaa tujh par balqi puuchhegaa Kudaa bhii to mukar jaaye.nge aag dozaK kii bhii ho jaayegii paanii paanii jab ye aasii arq-e-sharm se tar jaaye.nge %[dozakh = hell; aasii = sinner; arq = sweat] sholaa-e-aah ko bijalii kii tarah chamakaauu.N par mujhe Dar hai, ki vo dekh kar Dar jaaye.nge laaye jo mast hai.n turbat pe gulaabii aa.Nkhe.n aur agar kuchh nahii.n, do phuul to dhar jaaye.nge nahii.n paayegaa nishaa.N ko_ii hamaaraa hargiz ham jahaa.N se ravish-e-tiir-e-nazar jaaye.nge %[ravish-e-tiir-e-nazar = like an arrow thrown from the eye = a fleeting glance] pahu.Nche.nge rahaguzar-e-yaar talak ham kyuu.N kar pahale jab tak na do aalam se guzar jaaye.nge 'zauq' jo madarase ke biga.De hue hai.n mullaah unako maiKaane me.n le aao sa.Nvar jaaye.nge #endindian \endsong