\startsong \stitle{nahii.n ki milane milaane kaa sil-silaa rakhanaa} \singers{Zafar Iqbal #1} \printtitle #indian nahii.n ki milane milaane kaa sil-silaa rakhanaa kisii bhii satah pe ko_ii to raabtaa rakhanaa %[satah = level; raabtaa = relationship] madad kii tum se tavaqqo to Kair kyaa hogii Gariib-e-shahar-e-sitam huu.N meraa pataa rakhanaa %[madad = help; tavaqqo = expectation] mare.nge aur hamaare sivaa bhii tum pe bahut ye jurm hai to phir is jurm kii sazaa rakhanaa naye safar pe ravaanaa huaa hai az-sar-e-nau jab aa_uu.Ngaa to meraa naam bhii nayaa rakhanaa %[az-sar-e-nau = a fresh start] hisaar-e-shauq uThaanaa "zafar" zaruur magar kisii taraf se nikalane kaa raastaa rakhanaa %[hisaar-e-shauq = bonds of desire] #endindian \endsong